Tuesday, April 15, 2014

Ek shaks ko kho dene ka darr kyu

Ek shaks ko kho dene ka darr kyu
nahi jata,
Yebojh mere dil se utar kyu nahi
jata,
Manzil pe pahunch ke bhi use
khona padega,
Uski judaai me aankho ko
bhigona padega,
Ye tay hai fir bhi shauk-e-safar
kyu nahi jata,
Maine subah aur sham chaha hai
usko,
Din raat duwaao me maanga hai
usko,
Phirbhi ye dil sakun kyu nahi
pata,....... 

Koi paa kar to koi kho kar juda hota hai,

Koi paa kar to koi kho kar juda hota hai,
Koi hanskar to koi roo kar juda hota hai,
Magar juda hone ka dard to Tab hota hai,
Jab koi kisi ka hokar juda hota hai...

Wednesday, March 5, 2014

Shikwa Uski yado se Kuch is Traha Kiya Hamne






Shikwa Uski yado se Kuch is Traha Kiya Hamne
Hasti hui Shama Ko rula diya humne
Ek Lamha Diya Tha usne Jine k liye
Or Usi me Zindagi Ko Bita diya

Saturday, January 11, 2014

Apni Yaadein Apni Baate Lekar Jana Bhul Gay

Apni Yaadein Apni Baate Lekar Jana Bhul Gaye
Jane Wale Jaldi Mai Milkar Jana Bhul Gaye
Mur-Mur Kar Dekha Tha Jaate Raste Mai Usne
Jese Use Kuch Kehna Tha Jo Wo Kehna Bhul Gaye
Waqt-E-Rukhsat Poch Raha Tha Mere Aansu Apne Aanchal Se..
Usko Gham Tha Itna K Wo Khud Rona Bhul Gaye.!!