Subah jab neend se uth kar tum aankhe kholti,
Toh tumhare aashiyane ki roshni ban kar kaash main wahan hota.
Jab uth kar tum apna nazuk chehra bhigoti,
Toh ban kar paani kaash main wahan hota.
Fir jab tum thandi hawa ke liye gulshan me aati,
Toh sukoon dene waali fiza ban kar kaash main wahan hota.
Aur jab tum apne nazuk haatho se koi phool todti,
Toh humhari saanso me ban kar khushbu kaash main wahan hota.
Fir sanwar kar jab tum ghar se chal deti,
Toh ban kar tumhari raah kaash main wahan hota.
Tum yaaron se milti, aur zindgi jee bhar ke jeeti,
Aur tumhe khush dekhne ko kaash main wahan hota.
Fir jaane kyun naraz ho kar tum waha se chal di,
Tab tumhe samjhane ke liye kaash main wahan hota.
Tum aayi ghar pe aur ruth kar baith gayi,
Tab tumhe manane ke liye kaash main wahan hota.
Fir tanhaai me jab chup-chup tum rone lag jaati,
Toh ansu ki tarah tumhari aankho se behne ko kaash main wahan hota.
Ek ehsaas hu main, jo majboor hai kismat ke haatho,
Un palon me tumhe thamne ko kaash main wahan hota.
Fir tum rote-rote kahin khayalon me kho jaati,
Tab tumhare jehan me yaad ban kar kaash main wahan hota.
Na jaane kab tumhari aankh lag jaati,
Khwabon me tumse milne ki khushi liye kaash main wahan hota.
Haqiqt nahi toh kya ek fasana ban kar he sahi,
Khwabon me tumse milne ka naseeb liye kaash main wahan hota.
Tumhe he nahi tumhari yaadon se bhi bepanah pyar karta hoon,
Ek pal ko sahi, tumhara pyar paane ko kaash main wahan hota.
Tumhara naam bhi zuban pe na laana meri majboori hai,
Bhari mehfil me tumhe apna kehne ka haq liye kaash main wahan hota.
Tumhe khone ke dar se kuch bhi bayan na kar paata hoon,
Apne pyar ka izhaar karne ko kaash main wahan hota.
Main toh ek ehsaas hu jo tumhari yaadon me bhatakta hai,
Tumhara pyar ban kar tumhare dil me rehne ko kaash main wahan hota…
