Jindagee ho gayee thi rangeen,
Jab wo shaam aayee thi haseen.
Na jaane dil kaise toot gayaa,
Dil ki khushiyaan ho gayi gamgeen.
Roj ham unse apne dil ki baat kahane jaate hain.
Ye sochkar ham man hi man ghabaraate hain.
Dil ki baat jubaan par laane ki himmat nahi hai,
Is bebasee se aankhon mein aansoon chhalak jaate hain.
Aise na hame tadpaaiye apni adaaon se ki,
ham tadap tadapkar mar jaayein.
Bas jaaiye hamaari jindagi mein is tarah ki,
ham jism se rooh tak nikhar jaayein.
Kyaa tumhe pataa hai ai gulshan,
mere dilbar aanewaale hain.
Kaliyaan naa bichhanaa raahon mein,
ham dil ko bichhane waale hain.
Ye pahali baar kaa milnaa bhi itnaa paagal kar deta hai,
kuchh kuchh hotaa hai saanso mein aur dil kyon khota hai.
Baahon mein bharkar wo hamko madhosh banaane waale hain.
Kaliyaan naa bichhana rahon mein,
ham dil ko bichhane waale hain.