Tham rahi meri saanso pe har pal tera naam hoga,
Khatam hogi jaha hadein dard ki wahin mera mukaam hoga.
Jab mere is safar ke aagaaz he zakhmi hua hai,
Toh tadapta he mere safar ka anjaam hoga.
Aankho se gir kar ansu mere zakhmo ko jalate hai,
Har pal baras kar ye mujhe kisi ki yaad dilate hai.
Ek muddat se pyasa hu main lehron ke saaye me,
Mere ye ansu bhi zami ki pyaas bujhate hai.
Dil ka haal toh main bayan bhi na kar paunga,
Toot chuke tukde kaha tak chun kar launga.
Kisi ko dil me mehfuz rakhne ki saza paayi hai mainey,
Ab kabhi kisi ko apne toote dil me na basaunga.
Mari aawaaz zakhmi hai aur siskiyon ka sahara hai,
Kaampti meri dhadkan me kahin maut ka isara hai.
Kabhi najuk ho kar dheere se dhadakti thi jo,
Aaj meri unhi dhadkano me dehshat ka nazara hai.
Jis din se mujhe khwabon se wafa hui thi,
Tab he se zindgi mujhse khafa hui thi.
Sirf ek he baar na toote hai mere khwaab,
Khwaab dekhne ki saza mujhe har dafa hui thi.
Khamosh hai zubaan, ragein meri thmi hai,
Khuli hai aankhe, saanse meri jami hai.
Inteha ho chuki hai khwaisho ki ab toh ,
Bhara hai dil mera, ek bas teri kami hai.
Ye saara zamana he meri nazar me qatil hai,
Har kisi ko ek khanjar yaha haasil hai.
Meri muskurahton me kayio ne saath nibhaya tha,
Ek sakhas bhi nahi jo mere maatam me shamil hai.
Jal raha hai mera dil aur dhuva hai zindgi,
Hai jurm gar pyar toh mujhe hua hai zindgi.
Ab hasna chhod ek alag he duniya bana li hai mainey,
Tanhaayi hai maut gar toh mainey usko chhuva hai zindgi.
Nazuk mere dil ko wafa karne ki saza mili,
Duniya toh duniya khuda ki bhi yahi razaa mili.
Accha he hua jo usne apni manjil badal li,
Mujhe bhi un raasto pe tanha chalne ki vajah mili.
Behte apne zakhmo se marham banana seekh liya mainey,
Bedard is duniya se nazre churana seekh liya mainey.
Kabhi jin beete lamho ko sahej ke rakha tha kahin,
Aaj unhi haseen yaadon se dil ko tadpana seekh liya mainey…