Sunday, July 7, 2013

Tum Aa Gaye

Bhatak raha tha anjaan dagar me,
Hamsafar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye....
Khush hota tha ye soch k ki main khush hoon,
Shayad maalom na tha ki khsuhi kya hoti hai,
Muskurata tha ye soch k ki main khush hoon,
Shayad maloom na tha ki muskurahat kya hoti hai,
Raah me kai log mile mujhe ,
Kuch khaas banke tum aa gaye
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...
Hosh na tha ye khud ko ki jaana kahaan hai mujhe,
Aankhen band karke zindagi k safar pe chala tha main,
Ek pal k liye bhi ye na socha ki q chal raha hoon main,
Badhawas hoke zindagi k safar pe chala tha main,
Na koi khwaaish thi zindagi se meri,
Ehsaas dilane tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...
Kabhi kabhi ye khayal aata hai mujhe,
Saanse chalti hain to wo chalti q hain,
Saathi kai hain mere apne, par fir bhi
Tumse milne ko umange machalti q hain,
Jaana chahta tha main zindagi se dur,
Par zindagi banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...
Kal ki hi baat hai tum mere liye paheli thi,
Poocha karta tumse main yahi baat har baar,
Kaun ho tum, meri zindagi me q aaye ho tum,
Muskurake tum ye kehti, dost hoon main,
Ghayal kiya tha mujhe kisi bewafa ne,
Aitbaar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...
Aasoon mere sathi the, ghum the mere humdam,
Dard se ishq hua tha mujhko, gumsum rehta tha mai hardam,
Tumne aake haath jo thama bhool gaya tha main har gham,
Dil ko mere jo tumne chhua to bajne lage the sargam,
Zindagi meri thi sukhi niras,
Sangeet banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...
Aasmaan me chaand sitaare, lagte kitne pyaare pyaare,
Baagon me jab phool khile to sundar ho jate hain ye nazaarein,
Ek tere aa jaane se sawar gaya hai jeewan apna,
Sukhi banjar bhoomi me bhi ab to aane lagi baharein,
Berang tha ye jeewan mera,
Sringaar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...
Bhatak raha tha anjaan dagar me,
Hamsafar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye....

Judai , Bebassi , Tanhai ,


Judai , 
Bebassi , Tanhai , 
Ansoo , 
Kisi Ki Aass , 
Khawahish , 
Ishq , Laa Hasil, 
Yeh Sab Kia Hai ..?
Junoon Ke Rastay..
Aur...........
Be Nishan ManziL......!!

Pathar tha magr barf ke galon ki tarha tha


Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota


Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nahi hota
Wo janti thi
Muhabbat dukhon ka sehra hai
Jahan saraab si khushiyan hain
Aur azaab se gham
Jahan hai pyaas judaii ki be'tahasha magar
Milan ki barishein hoti hain jis dayar main kam
Wo janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Wo jis ko dil ka lahoo de ke jagmagaya ho
Andheri raah ke liye wo cheragh mangti hai
Wo janti thi
Muhabbat wo reh'guzar hai jahan
Bichay hain kanch judaii ke be'shumar magar
Burhana pa hi inhein paar karna paRta hai
Ghamon ki dhoop main ab sayebaan koi na ho
Kisi yaad ki chaadar ko taan kar khud par
Tammam aahein daba kar guzarna paRta hai
Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Mohabbat main sabar ka samar nahi hota
Hij'r ki raah main hoti hai be'tahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nahi hota
Wo janti thi phir bhi rog le bethi
Kisi ke pyaar main na jaane kyun jog le bethi

Hum Jheel Kinare Ja Baithen,



Kabhi Waqt Mile To Aajao,
Hum Jheel Kinare Ja Baithen,

Tum Apne Sukh Ki Baat Karo,
Hum Apne Dukh Ki Baat Karain,

Aur Un Lamhoon Ki Baat Karain,
Jo Sung Tumhare Beet Gaye,

Aur Ehd-e-Khizan Ki Nazar Howe,
In Sabz Ruton K Daaman Mein,

Hum Pyar Ki Khushbo Mehkain,
In Bikhray Sabz Nazaron Ko,

Hum Aankhon Mein Tasveeer Karain,
Phir Apne Pyar K Jadoo Se,

Hum Lamhoon Ko Jageer Karain,
Kabhi Waqt Mile To Aajao…

Hum Jheel Kinare Ja Baithen

Bahut Tanha Hoon,




Bahot Tanha Hoon.
Zindagi Ki Shaarah Per,
Bas Ek Saibaan Chahiye
Thehrne Ke Liye,
Main Apne Andar Tanha..
Bahut Tanha Hoon
Ek Dost Chaiye Sath Ke Liye.

Zindagi Kahin Kahin,
Bahut Khoobsurat Nazar Aati Hai, 
Bas Kuch Dair
Achhe Logon ke Sath Hansna Chahta Hoon

Gar Ho Gaye Kahin
Achhe Dost Naraz
To Ye Zindagi
Dasht Se Zyada Nahi
Aye Dost !
Tumhari Tarah Tanha Rehte Rehte
Main Bahut Thak Chuka Hoon,
Kuch Der Main Bhi 
Hansna Chahta Hoon...
Bahut Hansna Chahta Hoon..
Dil Ki Gehraiyon Se...