Monday, March 25, 2013

Aisa kabhi na karna

Tum ruth jao mujhse
Aisa kabhi na karna
Main ek nazar ko tarsoon
Aisa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon
So so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na kerna
Mujhse hi milke hansna
Mujhse hi milke rona
Mujhse bicher ke jee lo
Aisa kabhi na kerna
Tum chand ban ke rehna
Main dekhta rahoon ga
Kisi roz tum na niklo
Aisa kabhi na kerna
Tum chalay jao jab bhi
Tu dekhoon tumhara rasta
Tum loat ke na aao
Aisa kabhi na karna

Duniya Ne Chena Woh Sub Kuch Jo Laga Mujhe Pyara


Duniya Ne Chena Woh Sub Kuch Jo Laga Mujhe Pyara
Har Koi Mujhse Jeeta or Mein Har Dam Hara
Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Subne Sunni Hai
Jo Saaz Pe Guzri hai, Woh Kissi Dil ko Khabar Nahi
Tum Badle, Jahan Badla, Badli Nazar Zamane Ki
Yeh Ansoo Char Baqi Reh Gay Nishani Dil Lagane Ki
Galat Nahi Kay Zamane Mein Lajawab Hain Hum,
Samjh Sake Na Koi, Woh Kitab Hain Hu
Tappish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta hai
Kasoor Ankhon Ka Hota Hai,Bhugatna Dil Ko Parta Hai
In Udas Mushkurahatoon Kay Pechay Ghum Kay Railay Hain
Ab Tumhain Kya Baaten Kay Tum Bin Hum Kitnay Akelay Hain.
Mujhe Is Baat Ka Gham Nahi Kay Badal Gaya Zamana
Meri Zindagi Toh Sirf tum Ho, Kahien Tum Na Badal Jana
Mana Kay Appki Nazaron Mein Kuch Nahi Hain Hum
Magar Unse Jakar Pucheay Jinhain Hasil Nahi Hain Hum
Khuda Kissi ko Kissi Pe Fida Na Karay
Agar Karay Toh Qayamat Tuk Judaa Na Karay
Hui Humse Yeh Nadani Teri Mehfil Mein Aa Baithay
Ho Kay Zameen Ki Khak, Asmaan Se Dil Laga Baithay
Jinki Yaad Hai Dil Mein Nishani Ki Tarha
Woh Toh Bhool Gaye Humain Kahani Ki Tarah
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Laut Aay Na Kissi Roz Woh Awara Mizag
Khola Rakhtay Hain Is Aas Per Dar Sham Kay Baid
Bhol Jana Toh Rasam-e-Duniya Hai
Apne Kounsa Kamal Kiya