Wednesday, June 30, 2010

SHUKRAANA…………….!




Socha……….!

Socha nhi achha bura,dekha suna kuchh bhi nahi


Manga khuda se raat din ,tere siya kuchh bhi nahi



Dekha tujhe ,socha tujhe,chaha tujhe, pooja tujhe


Meri khata,meri wafa teri khata kuchh bhi nahi



Jis par hamari ankh ne moti bichhaye raat bhar


Bheja vahi kagaj use,hamne likha kuchh bhi nahi



Ek shaam ki dahliz par baithe rahe wo der tak


Ankho se ki baate bahut muh se kaha kuchh bhi nahi



Manga khuda se raat din tere siya kuchh bhi nahi


Socha nahi achha bura,dekha suna kuchh bhi nahi

NADAN HAI………….

Nadan hai ye dil kaise tujhe bhool payega


Koi kona is dil ka ab sada ke liye so jayega


Tham jayengi ugliya nabz bhi zam jayega


Fir panno par ye kaise bayaan ho payega


Tera shehra hai bahut door ab lagta


Bin parwane ke kya samma pighal payega


Deewre na hoti to hum nibhate rashm-e-dastur


Hai sawal ek Kya mere bin tu rah payega


Jindagi har mod par leti hai imtahaan


Kab tak ye bojh ye dil yu hi udha payega


Hai tamanna meri bhi ab kash !tu mujhe bhool jaay


Mere ghazalo me ab tera kabhi zikra bhi na aayega


Dil se………..

Dil se jude rishto ko kabhi toda nahi karte


Hath rahao me kabhi chhoda nahi karte


Kanhi jakhmi na ho jayein hath tumhare


Jo toot jaayein aaine to fir use joda nahi karte


Koi tufaan kasti ko garq-e-ab na kar de


Maujo ka rookh yu moda nahi karte


Ho agar wasul tijarat to muhabbat nahi karte


Muhabbat me jajbaato ka yu sauda nahi karte


Mohabbat ke un wasulo me kuchh wasul ham bhi hai rakhte


Apnni muhabbat ko kabhi yu ruswa nahi karte


Karte ho yaaron jissse muhabbat kah dalo use


Muhaabbat me yarron kayanaat kiya nahi karte

Jhalak…….!

जिनकी झलक मे करार बहुत है…
उसका मिलना दुशवार बहुत है..

जो मेरे हांथों की लकीरों मे है…….
उस से हमें प्यार बहुत है..

जिस को मेरे दिल का रास्ता भी है मालूम…….
इन धडकनों को उसका इंतेज़ार बहुत है..

ये हो नही सकता कि वो हमे भुला दे..
क्या करें हमे उसपे एतबार बहुत है..

pyar

Tere bin nahi jeena mujhe tumse payar hai

Hai tujhko bas yahi batana mujhe tumse payarhai

Ye lab tujhse kuchh bol nahi paate par tujhe to ehsaas hoga

In aankho me ek baar pad lo na bas mujhe tumse payar hai

Likha karti hai ye lekhni meri bas tera-mera hi ‘Sara’-afsaane

Har geet-o-ghazal me maine likha mujhe tumse payar hai

Ab to naam tere hi likh dali hai saari jindagaani

Chale kanto par pade chalna mujhe tumse payar hai

Dil-e-izhaar kai baar kiya aur nazar-e izhaar kai baar

Har tarah se maine sau baar kaha mujhe tumse payar hai

Gumaa hone laga hai apne chehre me hai chehra tera

Kambakhat aina bhi samjhne laga hai mujhe tumse payar hai

Hai mujhko bhi ye ehsaas ki tumko bhi mujhse payar hai

Ru-b-ru aakar ekbar izhaar-e-muhabbat kardo mujhe tumse payar hai

Dil se..

http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6E6F666563/tgrmywk9ybmdk3ru.D.0.hurricaneeskart04ani1hcoy5.gif

Mere hi dil se poochho ki hai mujhko tujh se payar kitna
S
amandar ki baanho me mauze bhi na ho jitna
Rab se hi manga hai tujhko Rabba hi kare khair
A
b to sanam tere hi payar me mujhko hai mar mitna
Payar ki ranho me milenge hazaro gam sanam
Sath na mera chhodna tujhse iltja hai sirf itna
Bahare aati jaati hai mausam lete hai rang ka
Chahti hu mere dilbar tujhe itna na chaha ho kisi ko kisine jitna

vish & me

http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6E6F666563/u1g3ir44mlgsssnj.D.0.www_harikasozler_net_-_Beyaz_romantik_bir_resim.jpg

Kitni muhabbat hai mujhe tumse ye bata nahi sakti


Jindagi me teri ehmiyaat hai kitni ye jata nahi sakti


Meri jindagi ka har lamha hota hai shuru tujhse


Tujhse duur rehke mai to ek pal bhi beeta nahi sakti


Mumkin hai teri chahat me mai khud ko bhool jaau


Tujhe bhoolne ki khata meri dhadkane bhi kar nahi sakti


Meri har ek dhadkano me meri har ek sanso me basa hai tu


Tujhse juda hokar ek pal bhi mai jee nahi sakti


Yakeen nahi hota ki taqdeer rang deekhayegi


Hal-e-dil hai kya sanam mai bayaan kar nahi sakti

Re-post

Hai rishto ki fikra hame kyoki

Woh to mera wakif-e-haal hai

Wo to meri subah-e-uroj hai

wahi to mera waqt -e-zawal hai

Meri har baat wo manta hai

Meri har baat wo janta hai

Wo mila mujhe jab sadiyo baad

Mere lab par ab na raha koi sawal hai

Wo meri chup par ro diya

Ye to hamari guftgu ka kamal hai

Chahat se badkar chaha hai use

Sara-e-Sitam uske dil par dhaya hai

Likha dariya ye muhabbat ka yu hi bahta rahe

Bheja tha khat use kabhi wo aaj bhi uske pass hai

Mausam


Mausam ke rang badalne lage hai
Hawao ke rukh bhi badalne lage hai
Thandi si mausam par bichhi suraj ki kirne
Dil me aarmaano ke kafile nikalne lage hai
Fiza me chhaai hai basanti bahaar
Dil hi dil me saj raha pyar ka khumaar
Papihare bhi madhur geet gaane lage hai
Mausam ka hai asar man mayur bhi nachne lage hai

WO HAR BAAT—————-

aine chhupayausse

Meri khamosh nigaaho ne usse hi bayan kar diya

Jo fasana daba rah gaya tha dil me kabhi

Na tha kasoor mera in aankho ne sab bayaan kar diya

Wo sharm wo haya wo shadgi wo chilman meri

Samne jo wo aaye to jaane kab sab ne sath chhod diya

Har sans par wo dhadkan ki tarah yaad aate hai

Ab to yu lagta hai ki hamne haseen gunaah kar diya

Dil ki jo hayat-e-khalish thi jo chhuppi dil me

Uske payar ki mahtaab ne har raaz bata diya

Lafjo tak hi na khatam hui thi dil ki baat

Ussne khawbo ko bhi khush gawar bana diya

Meri har kalam to ab udhti hai bas unke liye

Sara-e-nazam ko maine apne dilber ke naam kar diya

RUKH-E-ROSHAN ———–

Hai baat ek raat ki jab chand tha raat ke aagosh me

Bhawra bhi tha samaya phoolo ki baanho me

Wo mausam bhi tha kitna haseen nigaahoo me

Kuchh phool bhi kheele the sehra(desert) me

Taarik(dark) raat bhi nahai thi khuuli chandni me

Saahil bhi khoya tha samander ki panaho me

Har taraf bahaar hi bahaar chhai thi fiza me

Aur sagufta(fresh)si chhai thi mere aashiyaane me

Doobe the kuchh hum bhi yu hi jashn-e-charaag me

Har taraf chhalke paimaane the tere khraabaat (wine-bar)me

Hum bhi na wakif-e-anjaam the is haseen shaam me

Masruf-e-musibat the apne hi dil ki shararat me

Rahoo me phool khile the tere munasib iraado me

Mahsoos ruh-e-afza hone laga tha gulistaan me

Rukh-e-roshan tha wo bhi sara-e-gurbat me

Nazare-E-Sara !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Dono ke dil me hai ek kashish ajeeb

Jo ek duje ki yaado me rahte khoye hai

Dilo par to hai raj isaq-e-mohabbat ka

Hokar door bhi dastan-e-jindagi jeete hai

Hai wo samil kuchh is tarah jindagi me

Ki dil ke aas-pass hai woh bas yahi ehsaas hai

Rahu duniya ki nazaro me tanha mai

Koi kya jaane ki woh khayalo me bhi meri justju hai

Jab se saupee hai jindagi usko paaya sukun hai

Mera hum-naseen hum-khayal woh hai

Mere khuski-o-gum ki her khabar use hai

Nazar-e-SARA se dekho to woh her su hai

Sirf Tumse ****************

Har jagah her taraftera hi ehsaaskarte hai

Ek baar mil jay khuda to fariyaad karte hai

Taras gai aankhe meri tere hi deedar ko

Har manjar me tujhko hi dhoodha karte hai

Bin tere kuchh na socha tha kabhi na chaha

Laut kar aa jaao hum tumhara intzaar karte hai

Teri chahat ne kis mood par laa diya hai mujhe

Teri yaad me hum na jeete na marte hai

Lagne laga hai 'Sara''jahaan jhootha mujhe

Bin tere kaise-kaise sitam hum sahate hai

Milate hi tujhko dil ki ek baat kahni hai tujhse

E-sanam hum to sirf tumse payar karte hai

RAAT SE PALKO PER………..

Raat se palko par teri yaade thi aankho me nami ki tarah

Jaise chadni raato me kuchh bheege khayolo ki tarah

In palko par saja rakha hai tujhko khawabo ki tarah

Hu tanha mai bhi aasmaan ke tanha chand ki tarah

Karti hu intazaar bas chandni ka chand ki tarah

Chahat ka yu na lena mujhse kabhi imtahaan mera

Maine to chaha hai tujhe din ke ujaalo ki tarah

Guzaare the jo kuchh lamhe tumhare sath

Meri yaado me wo chamakte hai sitaro ki tarah

Asaq bahate hai aankho me dariya ki tarah

Tere aane ka paigaam aaya hai jab bhi

Buut si 'Sara' jee uthati hai insaano ki tarah

Tujhse bichhad ke kanhi chain na aaya hai is dil ko

Mai dhoodhati phir rahi hu tujhko deewaano ki tarah

AA LAUT AA—————-

kanha khoi hu mai mujhe bhi ye ehsas nahi hai

teri yaado me hu ya tere aas-pass

itni bekhabar hu ki kuchh bhi zahaan-e-elm nahi hai

har-su tere hi gam ka mausam hai

har taraf chhai teri hi yaado ki bahar hai

bin tere be-noor be-rangat ye jindagani hai

aa laut aa meri banho me

khadi hu aaj bhi teri hi raho me

umid ki lau liye hatho me

yaado ki vadiyo me gunjati hai

beete huye afsaane tere mere wo taraane

mohabbat ab bhi payasi hai har taraf udasi hai

mere humsafar der na kar

aa laut aa apni hi duniya hai

tham n jay sanse ruk n jaye dhadkan

ab to bas teri hi ek aas baki hai

YA RABB!………..

Meri dhadkane mujhe yu bechain na kar


Mai tanha thi bahut magar ab aur tanha na kar


Mujhe se yu mere saaye ko duur na kar


Meri tadap meri saanso ko yu majbuur na kar


Samet de mere aanchal ko khushiyo se


Dukho ke samandar se mujhe yu hi duur kar


Taqdeer ne jo bhi dukh diye samete hai humne


Yu meri aankho se mere sapno ko chuur na kar


Pal pal tujhe hi chahu pal pal tujhe hi sochu


Mere Khuda!mere dil ko itna majbuur na kar


Sara-e-basti me aai thi bahar abhi-abhi


Ya rab!bahar-e-basti me khiza ko aabad na ka

Monday, June 28, 2010

Gujarati Shayari

Dariya kinare betho 6u,
Pawan nahi to pawan ni leher to aavse,
Hu ena prem ma padyo 6u,
E nahi to eni frnd to aavse..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sukh no suraj Sneh ni savar,
Megh ni maher Prem ni pukar,
Dil ni dhadkan Mann ni muskan,
Khushio no khazano lai aavyu Soneri Suprabhat..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Prem kare ene jagat maaf nathi kartu,
Koi eni sathe insaf nathi kartu,
Loko prem ne paap kahe to 6e,
Pn kon evu 6e je aa paap nathi kartu

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kyak dhodhmar varsad varsi jay 6,
To kyak 1 bund ni pyas rahi jay 6,
Koine male 6 hajar bahana prem ma,
To koi 1 chehra mate tarsi jay che

Ek paal bhi teri yaad dil se jati nahi

Ek paal bhi teri yaad dil se jati nahi

Tere saath ke bina Zindagi bhi ras ati nahi

Hardam har pal yahi eshas hota

Ki agar tu hota to har pal kaisa hota

Shyaad waqt tham jata mere liye

Sari kushiya mil jati us ke pal mei

Dadhkane jud jati uss ke pal mei

Hum pass ajate jis pal mei

Kash mei Zindagi mei tere saath ho pati

Tere bina muje raasthe milte nahi

Tu jab tak hai kushiyo se ristha hai mera

Tuje haq hai mujse dur jane ka

Kyoiki Dil milke bhi haath milte nahi

Lekin aj kareeb hoke hum dur hai

Shyaad yahi Zindagi ko manjur hai

Pana chahe tha tune bhi tere saath har pal

Per kya karu ye ho nahi sakta

Kyoki mei pass hoke bhi dur hui

Shyaad thodi si kamzor hu….

Funny SMS

1) Filmi life aur Asli life me kya ANTAR hai?Srdr:Film me bahut mushkilo k bad
shadi hoti hai. Asli life me shadi k bad bahut mushkil hoti hai.

2) It was Santa’s weding aniversary.Preeto :Shall v hav Tandoori chicken to
celebrate? Santa:y punish da poor chicken for da mistake v hav made

3) Fizao me tum ho Hawao me tum ho Baharo me tum ho Dhoop me tum ho chhaon me
tum ho.Sach hi suna tha.buri aatma ka koi thikana nahi hota…

4) U’r very special for me. I’m very concerned about u’r safety. But I can’t be
with u always. So please, Take Care of yourself when u jump from 1 tree 2 another!

5) Definition of a Nurse

” a young and beautiful woman who fingers you in all places n holds
your hand and then expects your pulse to be normal…!”

6)
To,
The A.C.P,
Police station

Respected Sir,
As my friend forgot to SMS me,I kindly request u to take action against him & encounter His USELESS mobile !

7) Jab hum roya karenge teri yaden dhoya karenge,Jab hum pia karenge tujhe yaad
kia karenge,Agar hum mar bhi gaye to kya hoga,YAMRAJ ke mobile se SMS kia karenge

Bhagwan ke bina mandir adhoora hai, dosti ke bina jeevan adhoora hai,patni ke
bina ghar adhoora hai,AUR AAPKE BINA CIRCUS ADHOORA HAI.

9) Yeh kis tarah yaad aa rahe ho,
Aankhen band hai phir bhi nazar aa rahe ho,
Na jane kyon aisa lagta hai jaise saamne khade ho aur POONCHH HILAA rahe ho…!!!

10)
Aankho me “SHARAFAT”
Chaal me “NAJAKAT”
Dil me “SACHCHAI” aur
Chehre me “SAFAI”

phir kyon na bole her LADKI apko “BHAI”.